Friday, April 30, 2010

Apna Bana Lo Sanam

Pyaar is jindagi mein sabne diya mujhe,
Ek tera hi pyar mujhe deewana bana gaya,
Khushiya toh kabhi bhi kum nahi thi jeevan mein,
Tune inn khushyo ko sagar bana diya,
Dhoodhta tha mein, ish jivan ka koi humsafar,
Tumse milkar mein apne aapko purra bana liya,
Pagal kehte hain duniya waale,
Joh pyaar mein joh jaate hain madhosh,
Tune hi mujhe iss pagalo ki tolli ka sardaar bana diya,
Pyaar karta hu tujhse yeh bayya mein na kar sakta,
Jeena bhi ho agar tere bager, woh jindagi nahi jee sakta,
Tu mille na mille is mein koi harz nahi hain,
Pyaar ek boond gire de mujhpar apni,
Jindagi phir usse pal se hasin nahi hain,
Poojta hu us khuda ko jisne yeh nayab noor banaya hain,
Aye meri Hoor, tujhe pyaar karke maine ish jahan ko paya hain,
Tu de gar mera saath toh yeh jahan bhi tere saath chordunga,
har pal; har dag par tujhe apni baaho mein samet lunga,
Hone nahi dunga tujhe kabhi naraz mujhse ya is jahan se,
Tere liye toh mein apne aapko bhi kurba kar dunga,
Pyaar mein tujhse karta hu, yeh tu jaan le sanam,
Aaj hain pyaar ka din, apna baana lo mujhe SANAM!!

No comments:

Post a Comment