Saturday, August 7, 2010

Hum Gum Gaye

Hum aaj gum gaye hai,
Sayad duniya ko bhool,
khud mein kho gaye hai.
Khudse kya baatein kare hum,
Ab toh sabdo ko hi bhool gaye hai.
Apni pasand ko duniya se kaise alag kare,
Har nazm mein duniyo kya likhe.
Geet labo par aa rahe hai,
Par matlab hum bhoolte ja rahe hai,
Khele bhi toh woh kaunsa khel,
Hum toh apne khayalo ko bhh jhel nahi pa rahe hai.
Aajkal galiya bhi sunsan malum hoti hai,
Apno se dur hokar anjano se pehchan ki chah hoti hai.
Kore har kajaz par kaunsi shiyayi se likhu,
Apni kalam bhi ab shukhi malum hoti hai.
Pyaas labo pe aur bhook sarir mein hai,
Par har boond pani aur sugand khane ki parayi lagti hai.
Khule ujale mein kho gayi hai ankhen,
Ab andhere se dosti ki chah ho gayi hai.
Dosto se milna dur baatein bhi dusvar ho gayi hai,
Khali bistar par khali maan ki tanhayi se yaari ho gayi hai.
Aaj main aur duniya alag ho rahe hai,
Hum aaj gum ho rahe hai.

Friday, May 21, 2010

Kuch Chahta Tha

Kuch baatein main kehna chahta tha,
Kuch baatein woh kehna chahti thi,
Kuch sunne ko betab the yeh kaan,
Kuch dekhne ke liye num thi unki ankhen,
Kuch ehsaas the joh bina bole baya karna chahte the,
Kuch ekrar the jinke liye shabd chahte the,
Ankho se dil ka rasta banana chahte the,
Sansho se dil ki dhadkan ko mehsus karna chahte the,
Pani se sheetal riste ki shuruat karna chahte the,
Apne andar ki aag ko jeevan ki lau mein badalna chahte the,
Ek naam se sab kuch baya karna chahte the,
Pyaar ki nayi paribhasha likhna chahte the.

Friday, April 30, 2010

Yaad

Aaj mujhe phir teri yaad aayi,
jaane kyu sahi nahi jati yeh tanhai,
tujhse durr kya hua iss jahan mein aur koi na mila,
dundte the apnonh ko, kudhka neesha mitt gaya,
tere ek jhalk se the mein jee uthte,
tere durri ne utna hi humhe maar diya,
Kya karu yeh nahi aata shamaj mein,
Yaar ek baar toh awaz de,
taki phir se jee saku main.

Dard

Maine raah par usse pathar ko thokar thi mari,
Dard usse na hua, par main karah uttha,
Us pal thi dil mein ek baat aayi,
Kyu diya maine dusro ko dard,
Hamesha sabse bada dhuk tha mein paya,

Raah se uss pathar ko hata kar,
Kiya maine mehshuus,
Ek shukun tha Dil Main aaya,
Thaani main dunga sabko madad ka haath,
Chahe karna pade mujhe dard ke saath.

Shayari ka Aalam

Shayari ka aalam bada aasardaar hain,
Rota har aashiqui dil tutne ke baad hain
Jaane kyu kehte humhe bewaffa woh baar baar hain
Pyaar humne unhe bhi bahut hain kiya,
Waffa ke naam par shuli kyu chade woh baar baar hain
Shayari ka aalam bada aasardaar hain,
Dil ko Pathar kehke woh haste baar baar hain,
Unhe kya pata khoon ke aasshu rote yeh dil baar baar hian
Yaad unki humhe hamesha hain shatati,
Unhe kya pata Doorie kitni dard se sehta yeh dil baar baar hain,
Shayari ka aalam bada asardaar hain
Raat mein jaag kar karte unke didar ka intezaar hum baar baar hian,
Subah ke suraj ke saath, unki doorie ka pegaam aata baar baar hain,
Subah ki kiran se behata hain aashu aankho se baar baar hain,
Unhe kya pata hota kya hain, yeh dard jo baar baar hain,
Pyaar main hum khate nahi kasame baar baar hain,
chahte hain unhe dil se hum, kehte hum baar baar hain,
Shayari ka aalam bada hi aasardaar hain,
Aakhir kiya unse sada durr rehne ka faisla dil se,
Ab rote kyu hain woh hamare liye baar baar hain,
Kyu unhe shamajh aayi pyaar ki jab,
karte hum paar unhe yeh kehte hue marte hum baar baar hain,
sharabi toh bane nahi hum, ab karte shayari har baar hain,
Pyaar se hi shayari ka aalam aasardaar hain.

Manushya

Jamii par pauv tumhare manjil ki aur hain,
Hawa mein pankh tumhare gagan ki uuchaiyo ki or hain,
Chune ko aasma ish jamii se,
Tumhare khawav safalta ki aur hain,
Thamna nahi tum muskilo se haar kar,
tumhare pran jivan ki aur hain,
Mrityu nahi hain tumhari,
Har karya ke purak ho tum,
Us param shakti se ekakar hoti aatma ho tum,
Gyan hain tumhara navjagan ke liye,
Ish nayi shristi ke Manu ho tum,
Satya ka marg hain tumhara angaro bhara,
chalte raho ish marg par tum karmath bankar,
Har pag gulab ke phool banata,
Yeh swarn Path tumhara hain.
Hee! Diya manav, ish dhra ke jive ho tum,
Gagan se bhi ucche parvat ho tum,
Pavitra Dhara ke shutradhar ho tum,
Har navnirman ke sakar ho tum,

Ish jagat main kuch kar dikhane wale
MANUSHYA ho tum!!!

Kagaz Par Kalam

maine toh kalam par haath rakha tha, likhne toh woh apne aap lagi,
aag thi dil mein, kagaj raakh mein badalne lagi,
dard tha har badan mein, kalam se syahi khoon banke nehne lagi,
chood du is jamane ko, yeh alfaz likh raha tha,
teri yaad aayi, main nayi jindagi jenne laga tha.
nahi karunga is jindagi ko khud se ruswa,
pyaar ek ka nahi milla toh kya, sansaar toh saath hain mere,
teri dosti ne bacha liya, tera hi saath hamesha hai,
Dua karta hu khuda se, milie sabko yeh khushi,
Rahe duniya main yaha pyaar, Jiye har koi khushi ke saath.

Khud Ki Paihchan

Dhoodna kisi ko nahi padta apne aapko dekhne ke liye aayana,
Karte hain pyaar joh aapko, koi nahi hai unse accha aayana.

Raah mein koi aapko mile agar joh ho aapka humsafar,
Dena saath har mazil tak, kyuki yahi hai zindagi ka safar.

Rona sabhi ko padta hain jab hote hain apne juda,
Par khushi bhi basti hain aashu ke bund mein.

Khuda ka naam nahi leta mein, kyuki mein nahi manta usse,
Khud mein joh junoon ki shakti, usse bada koi kuda nahi,

Arz kiya karta hu main aapko apne se milne ke liye,
Aap bhi sunte hain mujhe appna batane ke liye.

Saath hum roz nibhate hain har kisi ka,
Har gum aur khushi baatte hain har kisi ka,
Mille nahi honge sayad kabhi,
Dil ka haal tab bhi paichante hain har kisi ka.

Meri Pyaari Kalam

Kalam meri yeh nahi aati kaam likhne ke,
har labhz joh kahe hai maine,
Yeh ukarti hain unhe panno mein.
Yeh sab chapp hain us shayahi ki,
Joh manas ban bhehti hain mujhmein.
Rahe har rachna meri is jagat mein,
Yahi kaam kalam karti hi meri,
Nahi hain yeh koi nirjiv vasatu,
khud mein hi sakar hain yeh,
Har nayi shuaat ka aagaaz hain yeh.
Rahe is pyaare jagat mein paichaan meri,
Ishi Kalam se aati hain aawaz yeh!!!

Apna Bana Lo Sanam

Pyaar is jindagi mein sabne diya mujhe,
Ek tera hi pyar mujhe deewana bana gaya,
Khushiya toh kabhi bhi kum nahi thi jeevan mein,
Tune inn khushyo ko sagar bana diya,
Dhoodhta tha mein, ish jivan ka koi humsafar,
Tumse milkar mein apne aapko purra bana liya,
Pagal kehte hain duniya waale,
Joh pyaar mein joh jaate hain madhosh,
Tune hi mujhe iss pagalo ki tolli ka sardaar bana diya,
Pyaar karta hu tujhse yeh bayya mein na kar sakta,
Jeena bhi ho agar tere bager, woh jindagi nahi jee sakta,
Tu mille na mille is mein koi harz nahi hain,
Pyaar ek boond gire de mujhpar apni,
Jindagi phir usse pal se hasin nahi hain,
Poojta hu us khuda ko jisne yeh nayab noor banaya hain,
Aye meri Hoor, tujhe pyaar karke maine ish jahan ko paya hain,
Tu de gar mera saath toh yeh jahan bhi tere saath chordunga,
har pal; har dag par tujhe apni baaho mein samet lunga,
Hone nahi dunga tujhe kabhi naraz mujhse ya is jahan se,
Tere liye toh mein apne aapko bhi kurba kar dunga,
Pyaar mein tujhse karta hu, yeh tu jaan le sanam,
Aaj hain pyaar ka din, apna baana lo mujhe SANAM!!

Rango ki Bhasha

Kuch khash hai in rango mein,
Lal, Pille, Harre, Nille aur gille hi sahi,
Sab ka pyaar bhara hai in rango mein,
Dillo ki ranjhish sari mitt jati ish din,
Kitne hi dil mil jatte his din,
Khushi hoti har jagah is mahol mein,
Kitne hi anjaan apne ban jatte is jahan mein,
Masti ka yeh rang sak ko hamesha hi bhata hai,
Rang mein dubta ya ubarta har koi nazar aata hai,
Masti mein bhagta rangez nazar aata hai,
Kitna pawan sangam hai rango ka,
Khubsurati mein char chand lagte,
Rango k saath bachpan hai apno ka,
Aaj har jagah rang hi nazar aayege,
Jaane kitne hi bhed bhav mitt jayenge,
Aaj duniya ka har shqs ek hi nazar aayega,
Is prakarti ke rang bhi Holi mein nazar aayenge
Rango mein khud dubta aasma nazar aayega,
Jamin hogi shaqshi pyaar sebharre rango ki chap ki,
Phoolo se aati sugand se sama mein madhoshi hogi,
Pedo pe jhulti har rang ki bell hogi,
Shamma yeh hoga har jagah ek sa,
Aaj kudarat se judta har insane nazar aayega,
Aaj khub jhumna chahta hai yeh mann,
Rango se bhar janna chahta hai yeh tann,
Saare jahan ki khushi ek hi pal mein panna chahta hai har jann,
Aaj yahi dua karta hu, har jagah pyaar ke rang bhikhare ho,
Khushi ho har jagah mein itni ki har pal jindagi ka sarr ban jaaye.
Aao in rango ke sang hum bhi ish jahan mein hare k ke dil par lage jaaye,
Kabhi chute nay eh rang aaise bandhan mein band jaye.

Tanhayi ka Saath

Kyu main har pal tanhai aur beicheni mein khoh jata hu,
teri baatein se pehle yaado ke bhavar mein khoh jata hu,
yeh yaadein mujhe meri judai ka ehsaas karva jati hai,
lamho se lambi sadiyo ki judai de jati hai,
kehte hai sache dil ki har murad woh khuda puri kar jata hai,
phir kyu mere nek dil ki iccha ko judai ke sagar mein dubo jata hai,
meri har ek aawaz is shor mein gum jati hai,
teri ruhh toh dur, tere aksh ki bhi chanv nasib nahi ho pati hai.
Janne kab mein is registan ko par kar paunga,
jaane kab mein milan ka sawan dekh paunga,
milan ke us chor tak toh mein teri yaado ki sansho ke saath ji lunga,
par kya yeh sanshe mera saath de payengi,
par kya sanshe mera saath de payengi.

Tham ja Jindagi

Tham ja jindagi, tham ja,
yahi lamha hain jismein hain har khushi,
tham ja ai jindagi, tham ja,
raftar mein josh hain, par hosh nahi,
aur hosh mein hi jeet hain,
Isliye tham ja ai jindagi tham ja,
raftaar utni hi acchi jitna yeh dil dhadakta hain,
Saanse jitni tez chalti hain,joh thame jindagi hain.
Tham ja ai rahi is safar ke tham ja

Dil bhi mera janne kya nahi sochta hain,
har pal nayi rachne ke khwab sanjota hain,
par tham jata hu main jab,
sabdo k jaal mein kho jata hu,
tab pata hu apne ko aazad jab,
kisi aur ka nazm nazor se gujarta hu.
Tab dil ko shukun aata hain,
phir jaane kaise yeh bejaan ki jubaa ban jata hain

Raat Ki Tanhayi

Kyu yeh raat har dil ko tanha kar jatti hain,
maddam yeh chandni chand ki, humhe deewana manna jati hain,
taaro ke saath toh chand bhi tanha hi hota hain,
apno ke saath bhi dil yeh mera uss chehre ke liye rotta hain,

Chand uss unche gagan mein har din badhta aur ghatah hain,
wahi haal har pal meri dhakano ka hota hain,
tanhayi mein usse har pal mein bhoolna chahta hu,
kyuki yaad karke usse mein tanha nahi hona chahta hu.

tasveer usski raat mein chandni mein hi dikhayi deti hain,
dil ki har dhadkan ke saath uski aawaz mujhe sunai deti hain,
chahta nahi ke har pal woh mere pass ho,
par yeh bhi nahi chahta ke judai bhi ek amavash ki raat ho.

Pyaar Karna Chahta Hu

Is dil ki tapish us pal badh jati hain,
jab tumhari yaad tanhai mein humhe ched jati hain,
Roohe shukn toh tab milta hain,
Jab yeh dil tumhari kher sunta hain,
Awwaz tumhari hamari liye chein ki lauri banjati hain,
Tasveer tumhari hamari nazro ko sukun pauchati hain,
Yeh saare haale dil tabhi mehsuss hote hain,
Jab bhi yeh tumse millo si durri sehte hain.
Pyaar ko main jyada mehsuss kar sakta hu,
Jaise mein aag ko bhi sardi mein seh sakta hu.
Yahi mein har pal, har lamha tumse kehna chahta hu,
Pyaar toh tumhe pehpanah karta hu.
Par ab mehsuus karne se jyada,
Tumhe pyaar karna chahta hu,
Tumhe pyaar karna chahta hu.

Ek Pal Tha

Ek pal tha, Main khud se bhi gum tha,
Ek pal tha, Mein khud mein khush tha.

Ek pal tha, Rasta manzil ka lamba tha,
Ek pal tha, Main manzil pe ruka hua tha.

Ek pal tha, Ped ki chauv mein thandak thi,
Ek pal tha, Dhoop mein jalti meri rooh thi.

Ek pal tha, Pani ki pyaas mere gaale mein atki thi,
Ek pal tha, In pyasi nazro mein nami thi.

Ek pal tha, Parvat ki chouti mere kadmo tale thi,
Ek pal tha, Khade hone ki bhi himat na thi.

Ek pal tha, Samay bahut thakaam karne ko,
Ek pal tha, Marne ki liye bhi fursat na thi.

Ek pal tha, Dosto se bhara mera kamara tha,
Ek pal tha, Dil mein unki yaadoin ka seilaab tha.

Ek pal tha, Sagar mwin dubta mera jahaj tha,
Ek pal tha, Naiya mein par hota mera safar tha.

Ek pal tha, Bure sapno se meri neend adhuri thi,
Ek pal tha, Sapno ko pura karne ke liye neend chori thi.

Ek pal tha, Kamare mein band meri rooh thi,
Ek pal tha, Khule aakash mein udta mera badan tha.

Ek pal tha, Saare paane kore ho gaye the,
Ek pal tha, Likhne ko baki koi kora kagaj na tha.

Ek pal tha, Har uthi unglimujhe kaante chubha rahi thi,
Ek pal tha, Mere haath se unke liye dua ja rahi thi.

Ek pal tha, Jab jindagi ko jeene ka mann tha,
Ek pal tha, Jab maut ko khone ka darr tha.

Ek pal sab kuch badal deta hain,
Kuch nahi badalta toh woh hum hain,
Jis din badal sakti yeh duniya,
Us din sayadhi koi samay ginta.

MAIN...

Jeevan mera machali sa hai,
Pani ki satah par pran ke liye aana hi padta hai,
Kyuki ghutta dum mera khudke ghar mein hai,

Panchi sa jeevan mera ab bhi adhura hai,
Akash ki azadi ke baad bhi jami ki bediya perro mein hai.

Ped ki tarah majbut hu phir bhi toofan se dosti kaha,
Poadhe ko toh sab puchte hai par meri kisi ko shudh kaha.

Marr gaya hai mera jeevan jinda hokar bhi,
Jal raha hu mein har lamha mein andar se,
Par nahi dikhata kisiko ko mera dhuava ya rakh,

Kehti meri aatma, jab tera nahi is duniya mein kuch bhi,
Toh tu kaise ho sakta hai kisika........

Saath

Meri yaad ayegi tujhe jab dur chala jaunga,
Dur itna ke kabhi laut ke na aunga,
Ab tak shayad tere dil me rehta tha,
Ab teri yaad me bus jaunga,
Yaad aayengi tuje meri baatein aur mulakate,
Magar tab kabhi tujhe mil nahi paunga,
Tadpegi tu bhi mere bare me soch kar,
Magar tab me nazar nahi aaunga,
Tujhe jaan se zyada chahata hun,
Par shayad sabit nahi kar paunga,
Log kahte hain pyar amar hota hain,
Phir to main khud ko amar kar jaunga,
Mere pyar ko sahara dena tab........
Jab aakhiri dum par tujhe bulaunga,
Meri yaad aaye to raat ko bahar aake dekhna,
Ek chamkta hua tara ban jaunga.
Bahut dur ja chuka hunga tujhse,
Par dil ko yahi chhord jaunga,
Ansu mat bahana mujhe yaad karke,
Varna naraz ho jaunga.
Suna hai 7 janam milte hai insaan ko,
Vada hai baki 6 janam tere sath nibhaunga!!!!!

DOST

Dost raho pe nahi,
Rahe dosto se mil jati hain,
Yeh safar tanha nahi katta,
isliye dil ko dosto ki yaad aati hain.

Pyaar ke kisse hajaro mein ek hote hain,
Aur dost hamesha lakho mein ek,
Par dosto ke kisse hazaro mein anek hote hain
Yeh dil ke riste, dil se hi aage badte hain
Kuch dost rahi se humrahi bante hain.

Saalo is jeevan ki daurdmein hum,
Khud se bhi beganne ho jate hain,
Par dosto ke saath beetaiye kuch pal,
Jaise har pal ke liye ek tazgi de jate hain,

Baatein hoti roz hain, par kuch hi yaadein banti,
Saath chale bahut, par kuch hi dost bante,

sayad apne bhi utne karib nahi ho patte,
Jiste ke sache dost apne ho jate hain......

Baarish Ke Baad

Ho Gayi Rukhsat Ghataa Baarish Ke Baad
Ik Diya Jalta Rahaa Baarish Ke Baad

Mere Behte Aansoon Ko Dekh Ker
Ro Padi Thandi Hawaa Baarish Ke Baad

Meri Tanhaai Ka Daaman Thaam Ker
Kuch Udaasi Ne Kahaa Baarish Ke Baad

Yaad Teri Odh Ker Main So Gayaa
Khawab Ka Dar Khull Gayaa Baarish Ke Baad

Chaand Dekh Ker Baadalon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Diya Baarish Ke Baad

Apne Kachche Ghar Ki Har deewaar Per
Naam Teraa Likh Diya Baarish Ke Baad.