Jamii par pauv tumhare manjil ki aur hain,
Hawa mein pankh tumhare gagan ki uuchaiyo ki or hain,
Chune ko aasma ish jamii se,
Tumhare khawav safalta ki aur hain,
Thamna nahi tum muskilo se haar kar,
tumhare pran jivan ki aur hain,
Mrityu nahi hain tumhari,
Har karya ke purak ho tum,
Us param shakti se ekakar hoti aatma ho tum,
Gyan hain tumhara navjagan ke liye,
Ish nayi shristi ke Manu ho tum,
Satya ka marg hain tumhara angaro bhara,
chalte raho ish marg par tum karmath bankar,
Har pag gulab ke phool banata,
Yeh swarn Path tumhara hain.
Hee! Diya manav, ish dhra ke jive ho tum,
Gagan se bhi ucche parvat ho tum,
Pavitra Dhara ke shutradhar ho tum,
Har navnirman ke sakar ho tum,
Ish jagat main kuch kar dikhane wale
MANUSHYA ho tum!!!
No comments:
Post a Comment