Is dil ki tapish us pal badh jati hain,
jab tumhari yaad tanhai mein humhe ched jati hain,
Roohe shukn toh tab milta hain,
Jab yeh dil tumhari kher sunta hain,
Awwaz tumhari hamari liye chein ki lauri banjati hain,
Tasveer tumhari hamari nazro ko sukun pauchati hain,
Yeh saare haale dil tabhi mehsuss hote hain,
Jab bhi yeh tumse millo si durri sehte hain.
Pyaar ko main jyada mehsuss kar sakta hu,
Jaise mein aag ko bhi sardi mein seh sakta hu.
Yahi mein har pal, har lamha tumse kehna chahta hu,
Pyaar toh tumhe pehpanah karta hu.
Par ab mehsuus karne se jyada,
Tumhe pyaar karna chahta hu,
Tumhe pyaar karna chahta hu.
No comments:
Post a Comment