Friday, April 30, 2010

Tham ja Jindagi

Tham ja jindagi, tham ja,
yahi lamha hain jismein hain har khushi,
tham ja ai jindagi, tham ja,
raftar mein josh hain, par hosh nahi,
aur hosh mein hi jeet hain,
Isliye tham ja ai jindagi tham ja,
raftaar utni hi acchi jitna yeh dil dhadakta hain,
Saanse jitni tez chalti hain,joh thame jindagi hain.
Tham ja ai rahi is safar ke tham ja

Dil bhi mera janne kya nahi sochta hain,
har pal nayi rachne ke khwab sanjota hain,
par tham jata hu main jab,
sabdo k jaal mein kho jata hu,
tab pata hu apne ko aazad jab,
kisi aur ka nazm nazor se gujarta hu.
Tab dil ko shukun aata hain,
phir jaane kaise yeh bejaan ki jubaa ban jata hain

No comments:

Post a Comment