Friday, April 30, 2010

MAIN...

Jeevan mera machali sa hai,
Pani ki satah par pran ke liye aana hi padta hai,
Kyuki ghutta dum mera khudke ghar mein hai,

Panchi sa jeevan mera ab bhi adhura hai,
Akash ki azadi ke baad bhi jami ki bediya perro mein hai.

Ped ki tarah majbut hu phir bhi toofan se dosti kaha,
Poadhe ko toh sab puchte hai par meri kisi ko shudh kaha.

Marr gaya hai mera jeevan jinda hokar bhi,
Jal raha hu mein har lamha mein andar se,
Par nahi dikhata kisiko ko mera dhuava ya rakh,

Kehti meri aatma, jab tera nahi is duniya mein kuch bhi,
Toh tu kaise ho sakta hai kisika........

No comments:

Post a Comment