Meri yaad ayegi tujhe jab dur chala jaunga,
Dur itna ke kabhi laut ke na aunga,
Ab tak shayad tere dil me rehta tha,
Ab teri yaad me bus jaunga,
Yaad aayengi tuje meri baatein aur mulakate,
Magar tab kabhi tujhe mil nahi paunga,
Tadpegi tu bhi mere bare me soch kar,
Magar tab me nazar nahi aaunga,
Tujhe jaan se zyada chahata hun,
Par shayad sabit nahi kar paunga,
Log kahte hain pyar amar hota hain,
Phir to main khud ko amar kar jaunga,
Mere pyar ko sahara dena tab........
Jab aakhiri dum par tujhe bulaunga,
Meri yaad aaye to raat ko bahar aake dekhna,
Ek chamkta hua tara ban jaunga.
Bahut dur ja chuka hunga tujhse,
Par dil ko yahi chhord jaunga,
Ansu mat bahana mujhe yaad karke,
Varna naraz ho jaunga.
Suna hai 7 janam milte hai insaan ko,
Vada hai baki 6 janam tere sath nibhaunga!!!!!
No comments:
Post a Comment